Surah Baqra:
Ye Quran Pak ki subse barri surah hy Isme aage chal kr Gaey ka waqya byan kya gya hy Isi lye is ko Baqra kaha jata hy Tarteeb k lihaz se ye dusri or Nazool k hisab se Madina dour ki ibtadai suraton me se hy albatta baz ayat Hajjat ul Wida k moqe pr nazil huein
Isme
286 ayat
Or
40 ruku hein
Baz Ulema k nazdeek isme 1 hzar khabr 1 hzar ahkam
or 1 hzar munhyat hein
Surah ka aghaz Islam k bunyadi aqaid yani Touheed
Risalat or Akhrat k byan se hua isi zimn me Insanon ki
3 qismein yani Momin Kaffar or Munafiq byan ki gae hein Iski aik khas fazeelat hy K jis ghar me ye parhi jae us ghar se Shytan bhag jata hy.