S:17 A:73-77
Or unki koshish ye hey k fitney mey daal ker (Aey Nbi) tumhey pher deyn us Wahi sey jo bheji hey HUM ney tumhari traf ta k gharr lo tum HUMAREY barey mey is k ilawah kuchh or, tou is soorat mey wo zroor bna leytey tumko apna dost!
Or ager na sabit qdam rakkha hota HUM ney tumko (Aey Nbi) tou bohat mumkin tha k tum jhuk jatey unki traf ksi qder!
Or us waqt zroor chkhatey HUM tumhey mza dugna (azaab) dunya ka or dugna hi (azaab) aakhrat ka phir na patey tum apney lye HUMAREY muqabil koi mdad gaar!
Or unki koshish ye hey k tumharey qdam ukhaarr deyn is sir-zmeen sey ta k nikaal deyn tumhey yahan sey or is soorat mey na rahen gey ye khood bhi tumharey baad mger bohat thorri deyr!
Yahi treeqey kaar hey (HUMARA) un k barey mey jo bhejey they HUM ney tum sey pehley APNEY rsool or na paao gey tum HUMAREY treeqey kaar mey koi tabdeeli..!!