Islamic SMS
Allah ki mohobat
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Kuch log aise hain jo Allah ke siva dosron ko is ka hamsar (shareek) or made mukabil
banate hain or un se aise mohobar karte hain jese mohobat Allah se rakhni chahiye
halake jo eeman wale hain wo to sab se barh kar Allah ko mehboob rakhte hain kaash
ye zaalim mushrekeen jab koi dunya ka aazab dekhte to is waqt samajh lia karte ke sare
taakatain or sare ikhtiyaarat Allah ke kabze main hain or ye ke Allah saza dene main bhi
bohot sakht hai
Kufar karne ka azab
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
be shak jo log kufar karte hain or kufar ki halat hi main mar jaain un per Allah ki or
(is ke) farishton ki or tamam inshanon ki laanat hai wo hamesha hamesha ise laant main rahain ge
na un per se azab halka hoga or na unhain phir koi dosre mohlat di jaae gi
Bacha Dunya me sirf 1 Hunar lay kr aata hy,
Aur wo us 1 Hunar sy apny sb kaam nikal lyta hy,
Yani ""
So please "RONA" sekho,
AUR
Apny "RAB" ko mana lo,
JO
70 Maon sy Ziada pyar krny wala hy.
Roshan Taaleemat
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
beshak jo log hamare nazil ki hui rah batane wali roshan taaleemat or wazhe hidaayat ko chupate hain
bawajood is ke ke hum inhain sab insaanon ki rehnumaai ke liye apni kitab main bayan kar chuke hain aise logon
per Allah bhi laant karta hai or tamam laant karne wale bhi in per laant bhejte hain
Aazmaaesh or Khushkhabri
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Hum tumhain zaroor aazmain ge kabhi khof or khatre se kabhi bhook se kabhi jan o maal ke nuksaan se or kabhi
aamdanion ke ghate main mubtila kar ke Aap (P.B.U.H) sabar karne walon ko khushkhabri suna dijiye jo
(in haalt main sabar karte hain or) jab koi museebat aaparti hai to kehte hain ke hum Allah hi ke hain or Allah hi ki
taraf hamain lot kar jaana hai in per in ke rab ki taraf se bare eenayat hongi or is ki rehmat bhi yehi log to Allah ke
raaste per chalne wale hain
Zinda Log
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
aye eman walon sabar or namaz ke zarye mere madad hasil karo beshak Allah sabar karne walon ke sath hai or jo log Allah ki rah main mare jaain unhain murda na kaho aise log to haqeeqat main zinda hain magar tumhain un ki zindagi ka shaoor nahin hota
Kitab of hikmat ki taaleem
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Jis tarhan hum ne tumhare darmiyaan aik rasool (Hazrat Mohammad P.B.U.H ko) tum hi main se bheja jo tumhain
hamare aayat parh kar sunata hai or tumhare zindagion ko sanwarta hai or tumhain kitab or hikmat ki taleem deta hai
or tumhain wo batain seekhata hai jo tum nahin jante the lehaza tum mujhe yaad karte raho main bhi tumhain yaad rakhon
ga or mera shukar ada karte raho kufrane nemat na karo
Sirf Allah se daro
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
jahan se bhi Aap (P.B.U.H) ka guzar ho apna chehra (salat main) Masjid-e-Haram ki taraf rakhiye or tum log jahan kahin bhi
ho ise ki taraf moon kar ke salath parho take mukhlfeen ko tum se hujat ki majal na rahe magar un main jo zalim hain un ki
zaban kisi haal main band na hogi to tum un se na daro balke (sirf) mujhe se daro take main tum per apni nemat poori kar doon
or take tum rahehaq per qaaim raho
Seedha raasta
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Naadan (or bewakoof) log zaroor kahin ge ke in (Musalmanon) ko kia hua ke pehle jis
Qble ki taraf rukh kar ke salath parhte the is se yakayat phir gaye aap (P.B.U.H) keh dijiye
ke mashrik or maghrib sab Allah ke hain Allah jise chahta hai seedha rasta bata deta hai
Allah ki bandagi
Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai
Aye nabhi (P.B.U.H) in se keh dijiye ke kia tum Allah ke bare main hum se jhagarte ho? halake wohi hamara rab bhi hai or
tumhara rab bhi hamare aamal hamare sath hain tumhare aamal tumhare sath or hum sirf Allha hi ke liye apni bandagi ko khalis
kar chuke hain