Islamic SMS




Islamic SMS: Quranic Ayats, Hadees & Islamic Quotes etc..
User Image
adn
(Posted On: 06 Apr, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Allah ki kitab

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

(wo) Allah hi hai jis ke siwa koi dosra mabood bane ka haqdar nahin hai or wo zinda hai or wohi nizaam -e- kaayenat ko sambhale hue hai

Allah hi ne ye kitab (Quran Majeed) Aap P.B.U.H per nazil ki hai jo in kitabon ki tasdeek karti hai jo is se pehle nazil ho chuki hain


User Image
adn
(Posted On: 05 Apr, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Aye Allah hum per reham farma

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Allah kisi per is ki taqat se barh kar zimedari ka bojh nahin dalta. har shakas ne jo neki kamai hai is ka faida ise keliye hai

or jo bade kami hai is ka nuqsaan use ke liye hai. (eman laane walo tum yon dua karo) aye hamare rab hum se bhool chook

main jo kusoor ho jaain un per girift na kar. aye malik hum per koi sakhat hukum na bhej jo tu ne hum se pehle logon per bheje

the aye perwardigar hum per aisa bojh (dunya aakhrat main) na daal jo hum bardasht na kar sakain. hamare sath narmi kar

hum se darguzar farma hum per reham farma tu hi hamara mola (or karsaaz) hai kafiron ke muqable main hamare madad farma



User Image
adn
(Posted On: 04 Apr, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Allah ka hisab

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Aasmanon or zamin main jo kuch hai sab Allah ka hai or jo batain tumhare dilon main hain chahe tum un ko zahir karo ya posheda

rakho Allah beharhal un ka hisab tum se le le ga. phir use ikhtiyaar hai jise chahe maaf kar de or jise chahe saza de or Allah har cheez

per poori qudrat rakhta hai.


User Image
adn
(Posted On: 03 Apr, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




karz dar ko mohlat do

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Agar tumhara karzdar tang dast ho to hath khulne tak ise mohlat do or agar maaf hi kar do to ye

tumhare liye ziada behtar hai agar tum samjho. or is din se darte raho jab tum sab ko Allah hi ki

taraf lot kar jana hai wahan har shaks ko us ki kamai (hui neki ya badi) ka poora poora badla mil

jaae ga or kisi per zara bhi zulm har giz na hoga


User Image
adn
(Posted On: 01 Apr, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




sood haram hai

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Jo log sood khate hain un ka haal is shakas jesa hota hai jise shetaan ne lipat kar dewana bana dia ho

or un ke is haalat main mubtila hone ki waja ye hai ke wo kehte hain soda bechna (yaani tijaarat) bhi to

aakhir sood hi jese cheez hai halake Allah ne sode (yaani tijaarat) ko halal kia hai or sood ko haram

lehaza jis shakas ke paas Allah ki taraf se ye naseehat pohnchi or wo aainda ke liye sood lene se baaz

aa gaya to jo kuch (sood) wo pehle kha chuka so kha chuka is ka mamla Allah ke hawale hai or jo is hukum

ke baad phir ise harkat ka eaada kar wo jahanami hai jahan wo hamesha rahe ga


User Image
adn
(Posted On: 31 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Deen ki khidmat karne wale log

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

jo (maal) tum kharach karo ge to asal main ye haq in tangdast or hajat mand logon ka hai jo Allah ke kaam (yaani deen ki khidmat)

main aise ghir gaye hain ke (wo apne zaati kasb maash keliye) zamin main koi dor dhoop nahin kar sakte. in ki khudari dekh

kar nawakif aadmi khayaal karta hai ke ye kushaal hain tum in ke chahron se in ki androoni haalt pehchan sakte ho wo

logon se lipat kar nahin mangte phirte or tum jo kuch maal (un per) kharach karo ge wo Allah se posheeda na rahe ga



User Image
adn
(Posted On: 30 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Hidayat

Allah ke nam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Logo ko hidayat bakash dene ki zimedari aap (P.B.U.H) per nahin hai balke Allah jise

chahta hai hidayat baksh deta hai or (aye eman walo) jo kuch bhi maal tum kharach karte ho

wo tumhare apne faaede ke liye hai. Aakhir tum Allah ki raza hasil karne keliye hi to kharach

karte ho to jo kuch maal tum kharach karo ge us ka poora poora ajar tumhain dia jaae ga

or tumhare liye is main zara kami na ki jaae gi.


User Image
adn
(Posted On: 29 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Sadqat chupa kar do

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Agar tum apne sadqat ko zahir kardo to ye bhi accha hai lekin agar inhain chupa kar hajatmandon ko do to ye tumhare haq

main ziada behtar hai is tarze amal se Allah tum se tumhare kuch gunha bhi door kar de ga or jo kuch tum karte ho Allah ko

beharhaal is ki khabar hai.


User Image
adn
(Posted On: 28 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Hikmat ki dolat

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Shetaan tumhain muflisi (or mohtaji) se darata hai or buri baat (yaani bukhal) ka mashwara deta hai magar

Allah tum se apni bakshish or rehmat ka wadar karta hai Allah bara farakh dast or dana hai wo jise chahta hai hikmat

ata karta hai or jise hikmat ata ho gai use haqeeqat main bare dolat mil gai or in baton se to sirf wohi log sabak lete hain

jo akal wale hain


User Image
adn
(Posted On: 27 Mar, 2011)
Posted In: Islamic SMS
 




Allah kisi ka mohtaj nahin

Allah ke naam se jo bara meharban nehayat reham wala hai

Aye eman walo jo kuch maal tum ne kamaya hai or jo kuch hum ne zamin se tumhare liye nikaala hai is main

se umdah cheez ko Allah ki rah main kharach karo aisa na ho ke Allah ki rah main dene keliye bure se bure

cheez chatne ki koshish karne lago halake wohi cheez agar koi tumhain de to tum hargiz use lena gawara na karo ge

bajuz is ke ke lete waqt aankhain band karlo. tumhain jan lena chahiye ke Allah kisi ka mohtaj nahin or wo tareef

ke laaiq hai.





«12. . .2122232425. . .3233»